Friday, 5 July 2013

Khubsorat Ankhain (Beautiful eyas) Urdu Poetry






Bharkayen meri pias ko aksar teri aankhain

http://picasion.com/gl/1Psj/ 


Sehra mera chehra he samander teri aankhain
Phir bhala kon daad e tabassum unhein de ga
Rooyen gi buhat mujh se bicher ker teri aankhain
Bojhal nazar aati hein bazahir mujhe laikin
Khulti hein buhat dil mein utar ker teri aankhain
Ab tak meri yadoon se mitaye nahi mit’ta
Bheegi hui sham ka manzar, teri aankhain
Mumkin ho to ik taza ghazal aur bhi keh loon
Phir aurrh na lein khuab ki chader teri aankhain
Yun dekhtey rehna usay achaa nahi Mohsin
Woh kaanch ka paiker hey to pather teri aankhain
  

Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main,, 
http://picasion.com/gl/1Psk/


Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main,,

Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat,,

Ho gaee bersaat aankhon aankhon main,,

Mil na saka tha dil kabhi dil say,,

Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main,,

Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi,,

Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main,,

Day diya dil aik doojay ko,,

Ho gaee soghaat aankhon aankhon,,

main Sab rasmoon riwajoon ko,,

,,Saqi

Ho gaee maut aankhon aankhon main,,




 Khaa ker zakhum dua di hum ney
bas yoon umer bita di hum ney
 
raat kuch aisay dil dukhta tha
jaisay aass bujha di hum ney

sannatay ke shaher main tujh ko
be-awaz sada di hum ney

dekh ke jis ko dil dukhta tha
wo tasweer jala di hum ney

Ae “Nomi” tujhay samjhaye kon
kion ker umer ghanwa di hum ney


Teri aankhon mein woh pyaar dikhta hai

Teri aankhon mein woh pyaar dikhta hai
jis pyar se baqi har ek mujhe bekar dikhta hai

zara rehne do mujhe aur us ki yadon mein doston
ke us hi yadon mein mujhe apna ghar baar dikhta hai

kaise soch kun ke mein usse pyar na karun
aakhir us ek mein hi mujhe apna pura sansaar dikhta hai

meri qismat to chhupi hai mere khwabon mein
kyunke mere har khwab mein mujhe wahi dildar dikhta hai

wo kehti ke mein na jaagun raat bhar per wo kya jaane
mein to soya rehta hun yeh mera pyar hai jo bedar dikhta hai


 Kia Jadooger Si Aankhain Hain


Saada Se Ik Chehray Per
Kia Jadooger Si Aankhain Hain

Jo Daikhay Un Ka Ho Jaye
Jo Uteray Woh Thah Na Paaye

Kitnay Sapnay Jaag Rahay Hain
Un Palkoon K Saaye Saaye

Shama Sehar Si, Chara Ger Si, 
Naama Ber Si Aankhain Hain

Anjaani Pehchani Bhi
Apni Aur Baigaani Bhi

Aik Hi Manzer Ka Hissa Hain
Aks Bhi Aur Hairaani Bhi

Sahil Jaisi Lagti Hain Aur Bhenwra Jaisi Aankhain Hain
Saada Se Aik Chehray Per Kia Jadooger Si Aankhain Hain

 Teri Chahat Ab Meri Aankhon

Teri Chahat Ab Meri Aankhon Me Hai
Teri Khushbu Meri Sanson Me Hai

Mere Dil Ko Jo Ghayal Kar Jaye
Aisi Ada Sirf Teri Baaton Me Hi Hai


Aankhen Bata Rahi Hai Ki Viraan Tum Bhi Ho 

Tanha Hu Is Dard Mohabbat Mei
Meri Tarah Behaal Tum Bhi Ho

Hm Hai Kisi Ujde Hue Shahar Ki Misaal
Aankhen
Bata Rahi Hai Ki Viraan Tum Bhi Ho



Takti Mujhe Teri Aankhen

 Mehakti Hai Teri Aankhen
Madhosh Karti Hai Kyo Mujhe

Sagar Se Teri Aankhen
Uns Jagati Hai Mujhme

Takti Mujhe Teri Aankhen
Ishq Ka Jaam Pilaye Mujhe

Teri Aankhen Yeh Teri Aakhen
Deewana Banati Hai Mujhe



 Gahri Jheel Hain Unki Aankhein


Doob Jata Hun Unki Aankhon Mein
Gahri Jheel Hain Unki Aankhein

Bah Jata Hun Unki Aankhon Mein
Bahti Nadiya Hain Unki Aankhein

Kho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Atha Sagar Hain Unki Aankhein

Jal Jata Hun Unki Aankhon Mein
Jwala Mukhi Hain Unki Aankhein

Bheeg Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kali Ghata Hain Unki Aankhein

Kya Se Kya Ho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kaisi Aur Kya Balaa Hain Unki Aankhein.





  Aankhon Ke Aansuon

Aapse Door Hokar Hum Jayenge Kahan,
Aap Jaisa Yaar Hum Phir Payenge Kahan,

Dil Ko To Kaise Bhi Samjha Hi Lenge,
Par In Aankhon Ke Aansuon Ko Chupayenge Kahan.!



Khamosh palko py dariya 

 Khamosh palko py dariya ru ka ha abi WA
Tumhary intzar main ek lamha ru ka ha abi WA

Sadiyon ka fasla to tay karliya hum ny
Sirf do Qadmo ka safar ru ka ha abi WA

Waqt ky sagar pa rawan ho tum ye jan lo
Tumhary piyar k liye ek shaks ru ka ha abi WA

Ajao k zindgi tamam na ho jaey meri
Bary ehtamam say mot ko tala ha abi WA

Sadaen de de k bayawaz na hojaon kahi main
Ajao laut k ek jumla meri zuban pe ruka ha abi WA..


Aankhain khuab dekhti hain


Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka

Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka

Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka

Aankhain khuab dekhti hain

Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka

Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka

Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka

Bikhray khuabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho

Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka!!


Khuda Kare Teri Aankhein Kabhi


 Khuda Kare Teri Aankhein Kabhi
Aansuon Ke Zaike Se Aashna Na Ho, 

Khuda Kare Ke Dhoop Lamhon Ki Azyaton Mein,
Meri Duwaon Ka Saya Rahe, 

Tum Jo Zeest Ki Raah Mein Kabhi
Akele Nikal Jao To

Khuda Kare Tujhe Raaste Na Bhatkein,
Khuda Kare Tujhko Manzilein Mil Jayein,

Mere Paas Tumhare Liye,
Duwaon Ke Kuch Phool Hai, 

Khuda Kare Ke Ye Phool Kabhi Na Murjhayein,
Mere Paas To Bas Tumhare Liye,

Chahaton Ke Jugnu Hai,
In Jugnuon Ko Sambhal Kar Rakhna, 

Mere Paas Mohabbat Ki Titli Hai,
Khuda Kare Ke Ye Titli Tujhe, 

Khushiyon Ke Gulshan Mein Mehkati Rahe,
Tum Zindagi Mein Har Lamha Muskurate Raho, 

Is Titli Ko Sambhal Kar Rakhna,
Zindagi Mein Har Lamha Tum Apna Khayal Rakhna...



Aankhein Bata Rahi Hain Ke Kya Kya Guzar Gaya

 
Aankhein Bata Rahi Hain Ke Kya Kya Guzar Gaya
Sadiyon Ka Gham Samait Ke Lamha Guzar Gaya

Darya Garaj Ta Tha Rawani Ke Za'm Mein
Aab-E-Rawa'n Ko Kaatt Ke Laawa Guzar Gaya

Tum Say Na Mil Saki To Koi Gham Nahin Mujhey
Khud Say Miley Huwey Bhi Zamna Guzar Gaya

Aankhon Mein Aanso-on Ki Chamak Reengti Rahi
Dil Say Kisi Ki Yaad Ka Saaya Guzar Gaya

Mairi Sada Ne Uss Ke Qadam Rok To Liye
Lekin Plat Ke Uss Ne Na Daikha, Guzar Gaya

'Dilbar'Ajeeb Baat Hai Paani Ke Naam Par
Aankhon Say Aik Pyaas Ka Sehra Guzar Gaya.



 Meri Aankhon Pay Marta Tha


Meri Aankhon Pay Marta Tha
Meri Baaton Pay Hansta Tha

Na Janay Larka Tha Kaisa
Mujhay Khonay Say Darta Tha

Mujh Say Jab Bhi Wo Milta Tha
Yahi Har Baar Kehta Tha

Suno...

Ager Main Bhool Jao Tu 
Ager Main Bhool Jao Tu 

Kabhi Wapis Na Aao Tu 
Bhola Pao Gaye Ye Sab Kuch 

Yon Hi Hanstay Raho Gaye Kia 
Yon Hi Sajtay Raho Gaye Kia

Yahi Baatain Hain Ab Us Ki
Yahi Yaadain Hain Ab Us Ki




: <

No comments:

Post a Comment