Sunday, 1 June 2014

Urdu Poetry

 Doob kar suuraj ne mujhe aur bhi tanha kar diya,

Mera saaya bhi alag ho geya mere apnon ki tarah..



Hazoor ap shab arai’yan kar’ein lekin.!
 
Faqat namod-e-sehar tak charag jaltey hein…



Husn-e-barham ko nahi’n hal-e-pareshan sey gharz!!
 
Saz-e-dil ki dharkan’on sey hai taraana be-khabar..

 


 Haif-sad-haif agar ghair key daam mein aye..
 
Mein is baat pey marta tha key tum ayyaar ho.!!



 Hosla tujh ko na tha mujh sey juda honay ka.!
 
Warna kajal teri ankh’on ka na phela hota..
 



Halat ki thakan sey mera choor tha badan..
 
Ban ker bahar, soch ki perwau aa gai!!




Harf aye na kahi’n tarz-e-sitam per aye dost…
 
Khob jee bhar key sata ley abhi hum baki hein.!


 
Mat sataa mujhe itna ki meri jaan nikal jaaye
Mat kar sitam ki dil se tera khyal nikal jaaye
Maine humesha saha hai tere pyar me has-has ke
Kahi aisa na ho ki meri chahat ka andaaz badal jaaye.

















No comments:

Post a Comment